Add

Aah Ko Chahiye [Jagjit Singh]

aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak

aashiqii sabrtalab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuuN Khuun-e-jigar hone tak

ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayenge ham tumako Khabar hone tak

Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
shamma har rang men jalatii hai sahar hone tak