Add

Zindagi mein tu sabhi [Mehdi Hassan]

zindagi mein tu sabhi pyar kiya kertay hein
mein tu marr ker bhe meri jaan tujhay chaahoun ga

tu mila hai tu yeh ehsaas howa hai mujh ko
yeh meri umar mohabbat kay liyay thori hai
ik zara sa gham-e-dooraan ka bhe huq hai jis per
mein nay wo saans bhe teray liyay rakh chorii hai
tujh pay ho jaounga, qurbaan tujhay chahoon ga
mein tu mar ker bhe meri jaan tujhay chaahoun ga

apnay jazbaat mein naghmaat rachanay kay liyay
mien nay dharkan ki tarha dil mein basaya hai tujhay
mein tasavur bhe judai ka bhala kaisay karoun?
mein nay qismat ki lakeroon say churaya hai tujhay
pyar ka ban kay nigehban tujhay chahoon ga
mein tu mar ker bhi meri jaan tujhay chahoon ga

teri hur chaap say jultay hein khayaloun mein charagh
jub bhe tu ayee, jagata howa jadoo ayee
tujh ko choo loun tu phir aye jan-e-tamanna mujh ko
dair tuk apnay badan say teri khusbhoo ayee
tu bahaaroun ka hai unvaan tujhay chaahoun ga
mein tu mar kar bhi meri jaan tujhay chahoon ga

zindagi mein tu sabhi pyar kiya kartay hain
mein tu mar kar bhi meri jaan tujhay chahoon ga