Add

Aj Ke Daur Men Aye Dost Ye Manzar Kyun Hai [Jagjit Singh]

  • Jagjit Singh
  • Genres : Classical Music, Ghazal, Playback singing
  • Occupations : Singer, Composer
  • Late : 1941 - 2011

Aj Ke Daur Men Aye Dost Ye Manzar Kyun Hai
aj ke daur men ai dost ye manzar kyun hai
zakhm har sar pe har ik hath men pathar kyun hai

jab haqiqat hai ke har zarre men tuu rahata hai
phir zamin par kahin masjid kahin mandir kyun hai

apana anjam to maluum hai sab ko phir bhi
apani nazaron men har insan sikandar kyun hai

zindagi jine ke qabil hi nahi ab "fakir"
varna har ankh men ashkon ka samandar kyun hai