Add

Benaam Sa Yeh Dard [Jagjit Singh]

  • Jagjit Singh
  • Genres : Classical Music, Ghazal, Playback singing
  • Occupations : Singer, Composer
  • Late : 1941 - 2011

Benaam Sa Yeh Dard
benaam sa yeh dard
thahar kyon nahi jaata
jo beet gaya hai vo
guzar kyon nahi jaata

sab kuch to hai kya dhoondti
rahti hain nigaahein
kya baat hai main
waqt pe ghar kyoon nahi jaata

vo ek hi chahra to
nahi saare jahan main
jo door hai vo dil se
utar kyon nahi jata

main apni hi uljhi hui
raahon ka tamasha
jaate hai jidhar sab
main udhar kyoon nahi jata

vo naam jo barson se
na chehra hai na badan hai
vo khwab agar hai to
bikhar kyoon nahi jata