Add

Dil Parinda [Bezubaan Ishq]

  • Movie : Bezubaan Ishq
  • Song : Dil Parinda
  • Singer : Tochi Raina, Anita Bhatt
  • Year : 2015
Dil Parinda
kesi khudayi teri,
tune hi banai rabba
kaahe ko banaya tune ishq
bezubaan zubaan ki bhaasha,
kaise koi samjhe bata ja
kaahe ko banaya tune ishq
aisa kyun hota hai?
dil ye kyun rota hai?
jo nahi tha tera,
phir kyun uski aas hai
jo nahi tha tera,
phir kyun uski aas hai

koi mann mein hansta,
koi mann hi maan hai rota
koi mann mein hi gharonda banaye
kahin chalke khushiyon ke aansun
kahin roye dukh se naina
naina samajh bhi na paaye, baawra

dil parinda, dhoonde aashiyaana
dil parinda, dhoonde aashiyaana
ye na jaane, kahan isko jaana, baawra

aa.. aa..
naina..
mann mein koi basta,
par tujhe na milta
kismaton ka likkha
kahan, hai kisi ko dikhta
mann mein koi basta,
par tujhe na milta
kismaton ka likkha
kahan, hai kisi ko dikhta
ghum ki hai saheli,
uljhi ek paheli
ishq pe kisi ka,
kahan zor chalta

dil parinda, dhoonde aashiyaana
ye na jaane, kahan isko jaana,

kaisi khudaayi teri,
tune hi banayi rabba
kaahe ko banaya tune ishq
bezubaan zubaan ki bhaasha,
kaise koi samjhe bata ja
kaahe ko banaya tune ishq

dil parinda, dhoonde aashiyaana
ye na jaane, kahan isko jaana,

aisa kyun hota hai?
dil ye kyun rota hai?
jo nahi tha tera,
phir kyun uski aas hai
dil parinda, dhoonde aashiyaana
ye na jaane, kahan isko jaana, baawra
bezubaan ishq, bezubaan ishq