Add

Gham Badhe Aate Hain Qatil Ki Nigahon Ki Tarah [Jagjit Singh]

  • Jagjit Singh
  • Genres : Classical Music, Ghazal, Playback singing
  • Occupations : Singer, Composer
  • Late : 1941 - 2011

Gham Badhe Aate Hain Qatil Ki Nigahon Ki Tarah
gham badhe aate hain qatil ki nigahon ki tarah
tum chhupa lo mujhe, ae dost, gunahon ki tarah

apani nazaron main gunahagar na hote, kyon kar
dil hi dushman hain mukhalif ke gawahon ki tarah

har taraf zist ki rahon main kadi dhoop hai dost
bas teri yad ke saye hain panahon ki tarah

jinake khatir kabhi ilzam uthaye, 'fakir'
wo bhi pesh aye hain insaf ke shahon ki tarah