Add

Phir Se Mausam Baharon Ka Aane Ko Hai [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Phir Se Mausam Baharon Ka Aane Ko Hai
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
  • lyrics by :Zahid
Phir Se Mausam Baharon Ka Aane Ko Hai
phir se mausam baharon ka aane ko hai
phir se rangen zamana badal jayega
ab ki bazm-e-charagan saja lenge ham
ye bhi araman dil ka nikal jayega

ap kar den jo mujh pe nigah-e-karam
meri ulfat ka reh jayega kuch bharam
yun fasana to mera rahega yahin
sirf unawan us ka badal jayega

phiki phiki si kyun sham-e-maikhana hai
lutf-e-saqi bhi kam khali paimana hai
apni nazaron se hi kuch pila dijiye
rang mehfil ka khud hi badal jayega

mere mitne ka un ko zara gham nahi
zulf bhi un ki ai dost barham nahi
apane hone na hone se hota hai kya
kam duniya ka yun hi to chal jayega

ap ne dil jo 'zahid' ka toda to kya
ap ne us ki duniya ko choda to kya
ap itne to akhir pareshan na hon
wo sambhalte sambhalte sambhal jayega