Add

Sab Kahan Kuchh Lala-O-Gul Mein [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Sab Kahan Kuchh Lala-O-Gul Mein Numayan Ho Gain
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
  • lyrics by :Mirza Ghalib
Sab Kahan Kuchh Lala-O-Gul Mein Numayan Ho Gain
lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur
tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur

jate hue kahate ho qayamat ko milenge
kya khuub! qayamat ka hai goya koi din aur

tum mah-e-shab-e-charduhum the mere ghar ke
phir kyon na raha ghar ka vo naqsha koi din aur

tum kaun se aise the khare dad-o-sitad ke
karata malakulmaut taqaza koi din aur

sab kahan kuchh lala-o-gul mein numayan ho gain
khak men kia suraten hongi ki pinhan ho gain

ranj se khugar hua insan to mit jata hai ranj
mushkilen mujh par padi itni ke asan ho gain

yun hi gar rota raha 'ghalib'to ae ahl-e-jahan
dekhna in bastiyon ko tum ki viran ho gain