Add

Aaj Jane Ki Zidd [Coke Studio]

  • Album : Coke Studio
  • Song : Aaj Jane Ki Zidd
  • Singer : Farida Khanum
  • Season : Season 8
Aaj Jane Ki Zidd
aaj jaane ki zidd nah karo
yoonhi pahlu main baithe raho
yoonhi pahlu main baithe raho
aaj jaane ki zidd nah karo

haaye mar jaaen ge ham to lut jaaen ge
aisi baaten kiya nah karo
aaj jaane ki zidd nah karo

tum hi socho zara kyoon nah roken tumhen
jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum
jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum
tum ko apni qasam jaan-i jaan
baat itni miri maan lo
aaj jaane ki zidd nah karo

waqt ki qaid main zindagi hai magar
chand ghariyaan yahi hain jo aazaad hain
chand ghariyaan yahi hain jo aazaad hain
in ko kho kar miri jaan-i jaan
umr bhar na taraste raho
aaj jaane ki zidd nah karo
aaj jaane ki zidd nah karo