- Artist : Jagjit Singh
- Ghazal : Tere Bare Men Jab Socha Nahi Tha
- Singer : Jagjit Singh
- Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
- lyrics by :Meraj Faizabadi
Tere Bare Men Jab Socha Nahi Tha
tere bare men jab socha nahi thamain tanha tha magar itna nahi tha
teri tasveer se karta tha baten
mere kamre men ayena nahi tha
samandar ne mujhe pyasa hi rakha
main jab sehra men tha payasa nahi tha
manane-ruthane ke khel men hum
bichad jayenge ye socha nahi tha
suna hai band kar lin us ne ankhen
kayee raton se wo soya nahi tha