Add

Rab Ka Shukrana [Jannat 2]



Rab Ka Shukrana
Tu hai ab jo bahoon mein
Karaar hai
Rab ka shukrana
Saanson mein hai nasha
Khumaar hai
Rab ka shukrana

Tu hi ab mera deen hai
Imaan hai
Rab ka shukrana
Mera kalma hai tu
Azaan hai
Rab ka shukrana

[Rab ka..shukrana]

Tu mila toh sab mila
Ab kisi se kya gilaa
Tujhme simtoon
Aa mein bikhroon
Teri bahoon mein

Tu mila toh sab mila
Ab kisi se kya gilaa
Tujhme simtoon
Aa mein bikhroon
Teri bahoon mein
Fanaa ho jaon main

Tu hi ab duniya meri
Jahan hai
Rab ka shukrana
Khwaabon ki khayalon ki
Udaan hai
Rab ka shukrana

Rab ka shukrana
Tu hi ab mera deen hai
Imaan hai
Rab ka shukrana
Mera kalma hai tu
Azaan hai
Rab ka shukrana

Sab se ho jaon parey
Jo ishaara tu karey
Ab toh rehna hai
Tujhi mein gumshudaa hoon main

Sab se ho jaon parey
Jo ishaara tu karey
Ab toh rehna hai
Tujhi mein gumshudaa hoon main
Ho teri bahoon mein

Jazbon ka ab toh naya
Bayaan hai
Rab ka shukrana
Naya rutbaa nayi shaan hai
Rab ka shukrana

Tu hi ab mera deen hai
Imaan hai
Rab ka shukrana
Mera kalma hai tu
Azaan hai tu
Rab ka shukrana

Rab ka..
Rab ka..
Rab ka..
Shukrana..