Add

gulshan ki faqat phoolon se nahin katon se bhi zeenat hoti hai [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Song : gulshan ki faqat phoolon se nahin katon se bhi zeenat hoti hai
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
  • lyrics by :Saba Afghani
gulshan ki faqat phoolon se nahin katon se bhi zeenat hoti hai
gulshan ki faqat phoolon se nahin katon se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya mein gham ki bhi zaroorat hoti hai

ae waize-e-nadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
yahan roz nigahen milti hai yahan roz qayamat hoti hai

wo pursish-e-gham ko ayae hain kuch keh na sakoo chup reh na sakoo
khamosh rahoon to mushkil hai keh doon to shikayat hoti hai

karna hi padega zabt-e-alam peene hi padenge ye ansoo
fariyad-o-fugan se aey nadan tauheen-e-mohabbat hoti hai

jo ake ruke daman pe saba wo asha nahin hai pani hai
jo ashq na chhalken ankhon se us ashq ki keemat hoti hai