- Artist : Jagjit Singh
- Ghazals : Kabhi To Khul Ke Baras Abr-E-Meharaban Ki Tarah
- Singer : Chitra Singh
- Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
- lyrics by :Prem Warbartoni
Kabhi To Khul Ke Baras Abr-E-Meharaban Ki Tarah
kabhi to khul ke baras abr-e-meharaban ki tarahmera vajuud hai jalte hue makan ki tarah
main ik khawab sahi ap ki amanat huun
mujhe sambhal ke rakhiyega jism-o-jan ki tarah
kabhi to soch ke wo shakhs kis qadar tha buland
jo bichh gaya tere qadmon men asman ki tarah
bula raha hai mujhe phir kisi badan ka basant
guzar na jaye ye rut bhi kahin khizan ki tarhan