Add

Mere Qareeb Na Ao Ki Mein Sharabi Hun [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Mere Qareeb Na Ao Ki Mein Sharabi Hun
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
  • lyrics by :Saba Sikri
Mere Qareeb Na Ao Ki Mein Sharabi Hun
mere qareeb na ao ki mein sharabi hun
mera shaoor jagao ki main sharabi hun

zamane bhar ki nigahon se gir chuka hun main
nazar se tum na girao ki main sharabi hun

ye arz karata hun gir ke khuloos walon se
utha sako to uthao ki main sharabi hun

tumhari ankh se bhar lun surur ankhon men
nazar nazar se milao ki main sharabi hun