Add

Muddatein Beet Gayi Tum Nahi Aye Ab Tak [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Muddatein Beet Gayi Tum Nahi Aye Ab Tak
  • Singer : Asha Bhosle
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
Muddatein Beet Gayi Tum Nahi Aye Ab Tak
muddatein beet gayi tum nahi aye ab tak
rasta aur dikhaoge na jane kab tak
jo bhi milta hai wo tum sa hi nazar ata hai

dil ki tanhaeyan behlati hain yun bhi gham ko
jaise sach much hi pukara ho tumhi ne hum ko
pas ate hi magar khawab bikhar jata hai

wo hasen lamhe jo kal tak the muradon ki tarhan
aj palkon pe chamak uthate hain yadon ki tarhan
dard reh jata hai or waqt guzar jata hai

bhejte ho kabhi gul ko tu kabhi shabnam ko
tum kahan kaise ho maloom hai har mausam ko
chand har shab ko tumhari hi khabar lata hai