Add

Nazar Nazar Se Mila Kar Sharab Pite Hai [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Nazar Nazar Se Mila Kar Sharab Pite Hai
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
  • lyrics by :Tasneem Farooqui
Nazar Nazar Se Mila Kar Sharab Pite Hai
nazar nazar se mila kar sharab pite hai
ham unako pas bithakar sharab pite hain

isi liye to andhera hai maikade men bhot
yahan gharon ko jalakar sharab pite hain

hamen tumhare siwa kuch nazar nahi ata
tumhen nazar men saja kar sharab pite hain

unhi ke hisse men ati hai pyas hi aksar
jo dusron ko pila kar sharab pite hain