- Artist : Jagjit Singh
- Ghazal : Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
- Singer : Jagjit Singh, Chitra Singh
- Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
- lyrics by :Sudarshan Fakir
Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lobhale chhiin lo mujhse meri jawani
magar mujhko lota do bachpan ka sawan
wo kagaz ki kashti, wo barish ka pani
muhalle ki sabse nishani purani
wo budhiya jise bache kehte the nani
wo nani ki baton men pariyon ka dera
wo chehre ki jhuriryon men sadiyon ka phera
bhulaye nahi bhol sakata hai koi
wo choti si raten wo lambi kahani
kadi dhoop men apane ghar se nikalna
wo chdiya wo bul-bul wo titli pakadana
wo gudiya ki shadi men ladna jhagdana
wo jhulon se girna wo gir ke sambhalna
wo pital ke chhalon ke pyare se tohafe
wo tuti hui chudiyon ki nishani
kabhi ret ke onche tilon pe jana
gharonde banana bana ke mitana
wo masoom chahat ki tasveer apni
wo khwabon khilonon ki jagir apani
na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
badi khubasurat thi wo zindagani