- Artist : Jagjit Singh
- Ghazal : Bahut Dinon Ki Baat Hai
- Singer : Jagjit Singh
- Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
Bahut Dinon Ki Baat Hai
bhot dinon ki baat haifiza ko yad bhi nahi
ye bat aaj ki nahi
bhot dinon ki baat hai
shabab par bahaar thi
fiza bhi kush-gawar thi
na jane kyun machal pada
main apne ghar se chal pada
kisi ne mujh ko rok kar
badi ada se tok kar
kahaa tha laut aiye
meri qasam na jaaiye
par mujhe khabar na thi
mahool par nazar na thi
na jane kyun machal pada
main apne ghar se chal padaa
main shahar se phir aa gaya
khayal tha ke pa gaya
use jo mujhse dur thi
magar meri zarur thi
aur ik haseen shaam ko
main chal pada salaam ko
gali ka rang dekh kar
nai tarang dekh kar
mujhe badi khushi hui
main kuch isi khushi men thaa
kisi ne jhank kar kaha
paraye ghar se jaiye
meri qasam na aiye
wahi hasin shaam hai
bahaar jis kaa naam hai
chalaa hun ghar ko chodakar
na jaane jaaunga kidhar
koi nahin jo tok kar
koi nahin jo rok kar
kahe ke laut aaiye
meri qasam na jaiye