Add

Kya Khabar Thi [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Kya Khabar Thi Is Tarah Se Wo Juda Ho Jayega
  • Singer : Chitra Singh
Kya Khabar Thi Is Tarah Se Wo Juda Ho Jayega
kya khabar thi is tarah se wo juda ho jayega
khawab men bhi us ka milana khawab sa ho jayega

zindagi ki qaid-e-gham sa kya nikaloge usa
moat jab a jayegi to khud riha ho jayega

dost bankar us ko chaha ye kabhi socha na tha
dosti hi dosti men wo khuda ho jayega

us ka jalwa hoga kya jis ka ke parda noor hai
jo bhi us ko dekh lega wo fida ho jayega