Add

Ab Mere Pas Tum Aai Ho To Kya Aai Ho [Jagjit Singh]

  • Jagjit Singh
  • Genres : Classical Music, Ghazal, Playback singing
  • Occupations : Singer, Composer
  • Late : 1941 - 2011

Ab Mere Pas Tum Aai Ho To Kya Aai Ho
ab mere pas tum aai ho to kya aai ho
maine mana ke tum ek paikar-e-ranaai ho
chaman-e-daher main roh-e-chanamrai ho
talat-e-maher ho firdos ki barnai ho
bint-e-mehtaab ho gardon se utar aai ho
mujh se milne main a bandeshaa-e-ruswaai hai
maine khud apney kiye ki yeh saza paai hai

un dino mujh pe qayamat ka junon taari tha
sarr pe sarshaari-o-ishrat ka junon taari tha
maah paron se mohabbat ka junon taari tha
shaher yaaron se raaqbat ka junon taari tha
bistar-e-makhmal o sanjab thi duniya meri
ek rangeen o haseeb khwaab thi duniya meri

kya sunogi meri majroh jawani ki pukaar
meri faryaad-a-jigar doz mera nala-e-zar
shiddat-e-qarb main dobi howi meri guftaar
main ke khud apne mazaq-e-tarabagi ka shikaar
woh gudaaz-e-dil-e-marhom kahaan se laon
ab main woh jazba-e-masom kahaan se laon
ab mere pas tum aai ho to kya aai ho