Add

Awara Hai Galiyon Mein [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Awara Hai Galiyon Mein
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
Awara Hai Galiyon Mein
awara hai galiyon mein
main aur meri tanhayi
jayein to kahan jayein
har mod pe ruswayi,

ye phool se chehre hai
haste hue guldaste
koi bhi nahi apna
begane hai sab raaste
rahen bhi tamashye
rahi bhi tamashaye

armaan sulagte hen
seene mein chita jaise
qatil nazar aati hai
duniya ki hawe jaise
roti hai mere dil par
bajti hui shehnayi

aakash ke maathe par
taaron ka charaghaan hai
pehloo mein magar mere
zakhmon ka gulistaan hai,
aankhon se lahoo tapaka
daman mein bahar aayi