Add

Man Mausam Ka Kaha, Chhai Ghata, Ek Jam Utha [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Man Mausam Ka Kaha, Chhai Ghata, Ek Jam Utha
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
  • lyrics by :Bashir Badr
Man Mausam Ka Kaha, Chhai Ghata, Ek Jam Utha
man mausam ka kaha, chhai ghata, ek jam utha
ag se ag bujha, phul khila, ek jam utha

ai mere yar tujhe uski qasam deta hun
bhol ja shikawa-gila, hath mila, ek jam utha

ek pal bhi kabhi ho jata hai sadiyon jaisa
der kya karana yahan, hath bada, ek jam utha

pyar hi pyar hai sab log barabar hain yahan
maikade men koi chhota na bada, ek jam utha