Add

Huzoor Aapka Bhi [Jagjit Singh]



  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Huzoor Aapka Bhi Ehtram Karta Chalun
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
Huzoor Aapka Bhi Ehtram Karta Chalun
huzoor aapka bhi ehtram karta chalun
idhar se guzara tha socha salam karta chalun

nigah-o-dil ki yehi akhiri tamanna hai
tumhari zulf ke saye me sham karta chalun

uhe ye zid ki mujhe dekh kar kisi ko na dekh
mera ye shauq ki sab se kalam karta chalun

ye mere khawabon ki duniya nahi sahi lekin
ab aa gaya hun to do din kayam karta chalun