Add

Shamm-E-Mazaar Thi [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Shamm-E-Mazaar Thi Na Koi Sogwar Tha
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
Shamm-E-Mazaar Thi Na Koi Sogwar Tha
shamm-e-mazaar thi na koi sogwar tha
tum jis pe roo rahe the wo kis ka mazar tha

tadpunga umar bhar dil-e-marhoom ke liye
kambakht na-muraad ladkpan ka yar tha

jadu hai ya tilism tumhari zuban main
tum jhooth keh rahe the mujhe aitbaar tha

kya kya humaare sajde ki ruswaeyan hui
naqsh-e-qadam kisi ka sare rahguzar tha