Add

Shola Hun Bhadakne Ki [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Shola Hun Bhadakne Ki Guzarish Nahi Karta
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
Shola Hun Bhadakne Ki Guzarish Nahi Karta
shola hun bhadakne ki guzarish nahi karta
such munh se nikal jata hai koshish nahi karta

girti hui dewar ka ham dard hun lekin
charhte hue suraj ki parastish nahi karta

mathe ke pasine ki mahak aye na jis sa
wo khoon mere jism men gardish nahi karta

hamdardi-e-ahabab se darta hun muzaffar
men zakhm to rakhata hun numaish nahi karta