Add

Har Ek Ghar Mein [Jagjit Singh]



  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Har Ek Ghar Mein Diya Bhi Jale, Anaj Bhi Ho
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
Har Ek Ghar Mein Diya Bhi Jale, Anaj Bhi Ho
har ek ghar mein diya bhi jale, anaj bhi ho
agar na ho kahin aisa to ehtjaj bhi ho

hukumatoN ko badalna to kuch muhal nahi
hukumatein jo badalta ha wo samaj bhi ho

rahegi kab talak wadoN men qaid Khush-hali
har ek bar hi kal kyuN kabhi to aj bhi ho

na karte shor sharaba to aur kya karte
tumhare shahar men kuch aur kam kaj bhi ho

Har ghadi khudse ulajhna hai muqadar mera
Main hi kashti hun mujhi mein hain samundar mera

Ek se ho gaye mausamon ke chehre saare
Meri aankhon se kahi kho gaya manzar mera

Kis se pootchu ke kaha gum hu kai barso se
Har jagah dhundhta hu phirta hain mujhe ghar mera

Muddatein ho gayi ek khwaab sunehra dekhe
Jagta rehta han har neend mein bistar mera