Add

Har Ghadi Khudse [Jagjit Singh]



  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Har Ghadi Khudse Ulajhna Hai Muqadar Mera
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
Har Ghadi Khudse Ulajhna Hai Muqadar Mera
har ghadi khudse ulajhna hai muqadar mera
main hi kashti hun mujhi mein hain samundar mera

ek se ho gaye mausamon ke chehre saare
meri aankhon se kahi kho gaya manzar mera

kis se pootchu ke kaha gum hu kai barso se
har jagah dhundhta hu phirta hain mujhe ghar mera

muddatein ho gayi ek khwaab sunehra dekhe
jagta rehta han har neend mein bistar mera