Add

Shayad Main Zindagi Ki [Jagjit Singh]




  • Artist : Jagjit Singh
  • Ghazal : Shayad Main Zindagi Ki Sehar Leke Aa Gaya
  • Singer : Jagjit Singh
  • Late : 8-Feb-1941 to 10-Oct-2011
  • lyrics by :Sudarshan Fakir
Shayad Main Zindagi Ki Sehar Leke Aa Gaya
shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya
qatil ko aj apne hi ghar leke a gaya

ta umr dhundhta raha manzil main ishq ki
anjam ye ki gard-e-safar leke a gaya

nashtar hai mere hath men, kandhon pe maiqada
lo main ilaj-e-darde jigar leke a gaya

'fakir' sanamkade men na ata main laut kar
ek zakhm bhar gaya tha idhar leke a gaya